shahyeri on mohhabat
mohabbat se na jaane kyun yeh duniya naaraz hoti hai,
yeh to wo haseen khoobsurat hai jo har kisi ke saath hoti hai,
chahe kisi ki auqaat na ho tajmahal banane ki,
magar har dil mein dafan ek mumtaz hoti hai.
sisakti ruh ko mahekta gulaab kardunga,
main is bahaar mein sabka hisaab kardunga,
is intezaar mein hoon main ke tu koi sawaal to kar,
yakeen rakh main tujhe lajawaab kardunga.
ishq ne insaan ko kya se kya banadiya,
kisi ko kavi to kisi ko khatil banadiya,
do phool ka bojh na utha saki mumtaz,
aur us par shah jahan ne taj mahal banadiya.
dua maangi thi aashiane ki,
chal padi aandhiyaan zamane ki,
mera ghum koi samajh nahi paaya,
kyunki meri aadat thi muskurane ki.
kitni jaldi yeh mulaaqat guzar jaati hai,
pyaas bujhti nahi aur barsaat guzar jaati hai,
apni yaadon se kehdo is tarah na aaya karen,
neendh aati nahi aur raat guzar jaati hai.
yaar ne dil ka haal batana chhod diya,
humne bhi gehrayee mein jaana chhod diya,
jab usko hi doori ka ehsaas nahi,
to humne bhi ehsaas dilana chhod diya.
khamosh raat ke pehlu mein sitare na hote,
in rukhi aankhon mein rangeen nazare na hote,
hum bhi na karte parwah aapki itni,
agar aap itne pyaare na hote.
Tumne jo apne husn pe ghurur kiya,
us husn ne tumhe magrur kiya,
sharaab ki aadat hamein na thi zaalim,
teri bewafayi ne peeney pe majboor kiya.
kab unki palkon se izhaar hoga,
dil ke kisi koney mein hamare liye pyaar hoga,
guzar rahi hai yaadein teri yaad mein,
kabhi to unko hamse milne ka intezaar hoga.
bheeg jaati hai palkein tanhayi mein,
darte hain koi jaan na le,
pasand karte hain tez barsaat mein chalna,
kyunki kahin rotey hue koi pehchaan na le.
uski yaad ne mujhe phir ruladiya,
kaise hain wo zaalim jisne aisa sila diya,
do shabd likhne ka mujhe saleeka na tha,
aur aaj uski mohhabat ne mujhe shayar banadiya.
aansu aajate hain aankhon mein roney se pehle,
har khwab toot jaate hain soney se pehle,
ishq hai gunaah yeh to samajh gaye,
kaash koi rok leta yeh gunaah hone se pehle.
fursat kise hai zakhmon par marham lagane ki,
nigahen badal gayi apne aur beganey ki,
tum na chhodna kabhi dosti ka haath aye dost,
warna tammana na rahegi naye dost banane ki.
jis din hum duniya se chale jayenge,
yeh mat sochna aapko bhool jayenge,
bas ek baar aasman ki taraf dekna,
mere messages sitaron pe likhe nazar aayenge.
kaash yeh zaalim judaai na hoti,
rab tuney yeh cheez banayi na hoti,
na hum unse milte na yeh pyaar hota,
zindegi jo apni thi parayi na hoti.
samjha na koi dil ki baat ko,
dard duniya ne bi socheh hi de diya,
seh gaye hum agar dard ko chupke se,
to phir humko pathar dil keh diya.
pathar ki pooja kar baithe hum nadaan the,
teri aadat teri fitrat se anjaan the,
waqt ne hum ko khilona bana diya yaaron,
warna hum bhi kabhi mehfil ki jaan the.
beshak kuch waqt ka intezaar mila humko,
par sab se badh kar yaar mila humko,
na rahi tamana kisi aur ke pyaar ki,
dosti se woh pyaar mila humko.
wafa ke naam se ghabrate hain,
jidhar dekho gham hi gham nazar aate hain,
dil ka dard aansu bankar na nikle,
isi liye hum har waqt muskurate hain.
mujhe tujhse milne ki taqdeer nazar aayi,
mujhe apne pairon mein zanjeer nazar aayi,
jitne aansu bahae teri yaad mein,
har aansu mein teri tasveer nazar aayi.
aaj ki raat bahut bhari hai,
ghamon ka daur jaari hai,
dil tootna koi nayi baat nahi,
aaj hamari to kal kisi aur ki baari hai.
dard se dosti ho gayi yaaron,
zindegi bedard ho gayi yaaron,
kya hua jo jal gaya aashiana hamara,
dur tak to roshni ho gayi yaaron.
waqt guzrega hum bikhar jayenge,
kaun jaane ke hum kidhar jayenge,
hum dosti ki zeenat hai yaad rakhna,
jahaan tanhayee mili wahaan hum nazar aayenge.
ghum hi ghum hai meri zindegi mein,
khushiyon ka koi ehsaas nahi,
kambakht yeh dil bhi usi par aata hai,
jisko paaney ki koi aas nahi.
safar lamba hai dost banate chalo,
dil mile na mile haath badhate chalo,
taj mahal na banao dosto bahut mahenga padega,
magar jahaan bhi jao ek nayi mumtaaz banate chalo.
laut jaati hai duniya gham hamara dekh kar,
jaisi laut jaati hain lehre kinare dekh kar,
tum kaandha na dena mere janaze ko,
kahin phirse zinda na ho jau tera sahara dekh kar.
|