Ek lafz Mohabbat
Ek lafz Mohabbat hai, jissay kar k daikho tum
Barbaad na ho jao to kahna...
•Ek lafz Muqaddar hai, jiss say larr k daikho tum
Haar na jao to kahna....
...
•Ek lafz Wafaa ka hai, zamanay mein nahi milti
Kaheen say dhoond kar lao to kahna.
•Ek lafz Aansoo hai, issay dil mein chhupa kar daikho tum
Aankhon say na beh jaye to kahna
•Ek lafz Judai hai, issay seh kar daikho tum
Toot kar na bikhar jao to kahna.......
|