tarhpan, Chand Sher
1.
maidaano main rehne wale log
akser uchaiyon ko traste hain
daulton ke khushnuma baadal
adikter wahin pe jo braste hain
2.
Sitaaron ka kya wazood apna
hain mohtaaj andheri raaton ke
3.
Nahin uthata houn haath kabhi main dua ke liye
Mangna youn Khuda se bhi nahin gwara mujhe
4.
Be-aser ho gai hain teri badduaayen shayed,
dariya-e-zindgaani main rwaani hai mouzoon ki.
5.
Kissa-e-dariya-e-hyat(1) youn to ik lambhi kahaani hai,
karun mukhtser to nikelna koh(2) se, samunder main doobna hai.
(1= Zindgi ki khaani, 2= Mountains)
6.
Khushi aur gum main kya fark yaaro
main hasun ya woh, baat to ek hi hai
7
aap chaahe kuch bhi ker lete
humko aapko paana hi tha
mauka-e-wardaat-e-katal-e-dil pe
kaatil ko dubaara aana hi tha
waiting for your blessings
"Anaarhi"
|