gazal
Ye shabe firaq ye be basi
Hai qadam qadam pe udasiya
Mera saath koi na de saka
Meri hasrate hai dhuwa dhuwa
Mai tadap tadap ke jiya to kya
Mere khwab mujhse bichad gaye
Mai udaas ghar ki sada sahi
Mujhe de na koi tasal-liya
Chali aisi dard ki aadhiyaa
Mere dil ki basti ujad gayi
Ye jo raakh si hai bujhi bujhi
Hai isi me meri nishaniyaa
Ye fiza jo gardo gubaar hai
Meri be basi kaa mazaar hai
Mai wo phul hu jo na khil saka
Meri zindagi me wafa kahaa
Hasan aisi jag me hawa chale
Jo mujhe uda ke mujhko bhi le chale
Mai wahi pe umr guzaar du
Jaha mere yaar kaa aashyaa
|